Friday 24 June 2016

Smartphone ko charge karte time in 5 baato ka dhyan rakhe


Dosto aaj kal marcket me bahut sare new features kkarna
rtphone launch ho rahe he. sabhi mobile phone banane wali companies ek se badhkar ek high technology ka phone launch kar rahi he. lekin aaj kal smartphone me sabse badi problem battery backup ki he. aap marcket se kitna bhi mehnga phone kharid lo but uski battary ek day se jyada nahi chalti. aaj ke is technology ke jamane me hum apne aadhe kaam apne phone par hi online kar lete he. jaise online ticket booking ' recharge. aur bhi bahut saare work hum smartphone se ghar par hi kar lete he.. ese me hume apne phone me kaafi saare apps rakhne padhte he jinki bajah se hamare phone ki battery jyada nahi chal paati.. ese me hume apne smartphone ko baar baar charge karna padhta he. marcket me bahut saari companies esi he jo apne mobile ki battery jyada chalne ka daba karti he.. but kisi bhi phone ki battery ek din se jyada ka backup nahi deti.. so friend chalte he apne main point ki taraf..
smartphone ki battery ko charge karte samay kin 5 baato ka dhyan rakhna jaruri he.. taki hamare phone ki battery me koi problem na aaye aur us per koi effect na pade.. baar baar battery charge karne se phone ki battery jaldi kharab ho jati he.. so chaliye jante he smartphone ki battery ko kharab hone se bachane ke kuch simple tips ke baare me

1. Battery low warning ko dekhkar andekha ya ignore na karna..


Aksar esa to sabhi smartphone user ke saath hota he ki hamare phone ki battery low hone par mobile ka sytem humko battery low hone ki alert deta he. But kya aapne kabhi ye socha he ki agar aap is ko ignore kar de to isse hamare phone ki battery par kya effect padhta he. Is baat ka humesha dhyan rakhe agar apke mobile ki battery low ho rahi he aur system apko baar baar alert de raha he to aap usko ignore na kare.. isse mobile ki battery kamjor yaani ke weak ho jati he. Halanki expert ke anusar phone ki battery ko mahine me 1 baar discharge karna battery label ko secure karta he. Jisse phone ki battery ki performance kayam rehti he..

2. Phone ko overheat karna..

Yadi aap raat ko apna phone charging per lagaker so jate he to ye apke liye buri khabar sabit ho sakti he.. kyunki mobile ko jyada charge karne se usme overheating ka khatra bad jata he.. so phone ko uski jarurat ke hissab se hi charge kare to apke phone ki battery ke liye better rahega.. jyada time tak charger se connect rehne per apke phone ki battery kharab ho sakti he.. so jahan tak ho sake mobile ko uski jarurat ke anusaar hi charge kare..

३. Kisi other charger se phone ko charge karnaAgar aap bhi apne phone ko kisi other charger se charge karte he to isse phone heat ho sakta he..halanki original charger thoda mehnga milta he. But kisi local charger se phone ko charge karne se apke phone ki battery jaldi kharab ho sakti he..so jaham tak ho sake original charger ka hi upyog kare..

4. Phone ka heat hona ya garam padhna

Aksar esa hota he ki hum apne phone ko pura din chalate rehte he.jisse battery low hi jati he aur hum use charge karne ke liye charger se connect kar dete he.. but kuch log phone ko charge hote hue bhi use lgataar prayog karte rehte. Lekin agar aap apne ko lagatar use kar rahe he aur apka phone heat ho raha ho ya garam pad rha ho to us baat ko ignore na kare. Phone ke heat ya garam padhne ke baad bhi agar aap uska lagataar prayog kar rahe he to isse apke phone ki battery kharab ho sakti he.. so jitna ho sake phone ke heat hone par use kuch time ke liye band kar de to apke mobile ki battery ke liye better rahga..


So friend aaj ki is post me humne apni un galtiyo par jor diya he. Jo hum apne phone ko charge karte time karte he.. aasha he apko is artical me kuch naya sikhne ko mila hoga.. agar apko ye arical achcha lage to plss share karna na bhule.. dosto aap hamari site per technology se related sabhi new jankari paa sakte he..hum apni next post me apke sath isse bhi achchi aur helpful jankari share karenge. Wish you all the best all visiter..


No comments: