Friday, 15 July 2016

Android Phone Ki Ram Badaye ................................






Android phone me ram low hone ke karan ham apne phone me koi high game ya application use nahi kar pate hai. Aur low ram ki vajah se hamara phone bohat slow chalta hai aur hang bhi karne lagta hai. Mere bohat se dosto ne mujse yahi question pucha ki android me ram ko bada skte hai. Toh maine iske bare me pata kiya aur khud try kiya. Fir maine socha ki ye aap logo se bhi share kiya jaye. Aur mere dosto ko unke question ka jawab bhi mil jayega. Toh dosto aaj ka hamara yahi topic hai apne android phone ki RAm kaise badaye.

Ye post khaskar purane android phones ke liye hai. Jinke pas ginger bread jelly bean android os ke phones hai. Inme processing aur RAM bohat kam hoti hai. Is vajah se na toh isme high games chalte the aur na hi application. Agar aap bhi apne purane android phone ko new karna cahte hai. Aur usme high games chalana chahte hai. Toh is post ko padhte rahiye.

Jitni aapke phone ki ram jyada hogi utna aapka phone fast kaam karega. Ham apne phone ki ram Memory Card ki help se increase kar skte hai. Agar aapke pas 4GB ka memory card hai aap use 2Gb ram me change kar skte hai aur 2GB me apni photos movies video save kar skte hai.


RAM Badane Ke Liye Requirement
Rooted Android Phone
4Gb Memory Card
ROEHSOFT RAM Expender Application
Note – Aap pahle memory card ko format kar le. Tabhi ise trick ko use kare

Android Phone Ki RAM Badaye Step By Step
ROEHSOFT ek aisa android app hai. Jiske jariye ham android ki ram asani se bada skte hai. Iske liye aap neeche diye gaye steps ko acche se follow kar skte hai.

Step 1 – Sabse Pahle ROEHSOFT EXPANDER app install kare. Aap simaply google me search karke download kar skte hai.

Step 3 – Ab App ko open kare. Apko sabse uper green color ki light dikhai degi. Usme aap green color ke dot ko jitni MB badani hai utna drag keejiye.ep 3 – tab aapko neeche ek aur line dikhai degi. Jise ham swipeness kahte hai. Us par jo dot dikhai dega usko pura right side me drag kare.
Jaise hi swipe file create ho jayegi. Uske baad sabhi application ko close kare. Aur phone ko restart kare. Ab aapki RAM bad chuki hai. Ab aap apne phone ki speed ko behtr mahsoos karege. Aur sabhi high application kaam karne lagege.

Last Word For You

Dosto aaj ki post me maine apko bataya ki android ki RAM kaise badaye. Agar aapko post pasand aayi ho toh ise apne dosto se jarur share kare..................................











No comments: